Kisi Imam ne Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu anh ke Fazail o Manqabat bayan nahi kiye!Sach ya Jhoot?
Aye din kuch naam nihad logon ke zariya jinke dilon me sahaba
karam khas kar Ameer Muawiya Radi Allahu anh ka bughz bhara hota hai
yeh kahte huye suna jata hai ke kisi hadees ke imam,mufassireen ya
akabireen ne Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu anh ke fazail ya
manaqib bayan nahi kiye isi liye Ahle Sunnat Wal Jama'at ko bhi unke
fazail ya manaqib bayan nahi karne chahiye?
Yeh sarasar jhoot aur jahalat hai.Jo log aisa kahte hain unke dilon mein rafiziyat bhara hua hai aur yeh Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu anh se bughz ki bina par aisa kahte hain jiska haqeeqat se koi ta'aluq nahi.Hum yahan kuch subut pesh karte hain jisse inke jhoot ka parda faash ho jayega(Insha Allah).
1-Saha Sitta ki mash-hoor kitab Tirmzi Shareef mein Imam tirmzi Rahmatullah alaihe ne Hazrat Ameer muawiya Radi Allahu anh ki fazilat wali hadees bayan karne se pahle 'Abwabul Manaqib' jild 2,safah no 224 par yun unwan qayem kiya “Manaqib muawiya bin Abi Sufyan Radi Allahu anh ya'ani Hazrat Abu Sufiyan ke bete Hazrat Muawiya Radi Allahu anh ke fazail ka bayan”.
2-Hadees shareef ki ma'aroof kitab 'Mishqat Shareef' mein “Baab Jameul Manaqib” ki dusri fasal mein Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu anh ki shan wali ahadees darj ki gai hain.
3-Hafiz Abul Qasim Hibtullah Lalkai(418H) ne “Sharah Asool Aitqad Ahle Sunnat Wal Jama'at” Jild 2,safah no 349 par in alfaz se baab bandha hai “Nabi Kareem Sal Allahu Alaihe Wasallam ki woh riwayat jin mein Hazrat Abu Abdurrahman Muawiya bin Abu Sufiyan Radi Allahu anh ke fazail bayan huye hain”.
4-Hafiz Ibn Kaseer Alaihe rahma 'Albidaya Wannihaya' ki jild 1,safah 1632 par is tarah unwan sajaya hai “Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu anh ke halaat aur mamlikat aur un riwayat ka zikr jin mein apke Manaqib aur Fazail ka bayan hai.
Isi kitab ke vol 1 page 1571 par yun unwan likhte hain “Fazl Muawiya Bin Abi Sufiyan yani Hazrat Muawiya Radi Allahu anh ki fazilat ka bayan”
5-Sahi Bukhari Jild1,Safah 410 ki ye hadees ke 'meri ummat ka pahla lashkar jo samundar par karke jihad karega usne apne upar jannat wajib karli' is hadees ke tehat Imam Ibn Hajar Asqalani Fatahul Bari mein likhte hain hai ke “Is hadees mein Muawiya Radi Allahu anh ki fazilat hai”
6-Ghause Paak Radi Allahu anh farmate hain ke Sare Ahle Sunnat is par muttaffiq hain ke sahaba karam Ridwanullah alaihim ki jangon mein bahas se baaz raha jaye aur unhe bura kahne se parhez kiya jaye,unke fazail aur unki khubiyan zahir ki jayen.
(Ghaniyatul Talibeen page 178)
Yeh sirf chand misalen hain aisi kai aur misalen pesh ki ja sakti hain.lehaza Naam nehad mazhabi peshwaon ko ap ke fazail o manaqib ka inkar karke apni aqibat barbad nahi karni chahiye aur dusron ki gumrahi ka sabab nahi banna chahiye.

Comments
Post a Comment