Ta'aziyadaari Ulmaye Ahle Suunat ki Nigah Mein
Muharram ka chand nazar ate hi musalmanon ka ek tabqa khurafat kamon me jut jata hai jaise taaziya banana ya fir dhol taashe lekar muhallon me gasht karna.Ye log khud ko Sunni kahte hain aur inka ye dawa bhi hota hai ke ye Imam Hussain ( رضئ الله عنه ) se muhabbat karne wale hain.Par afsos sada afsos ke Imam Aali maqam رضئ الله عنه ) ) ne Deen e Muhammadi صلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم ki baqa ke liye Apna sab kuch Allah ki raah me qurban kar diya aur hum ne unki is Azeem Qurbani ko aj khel tamasha aur khurafat se yad karte hain.
Kuch logon ko galat fahmi hai ke ulmaye Ahle Sunnat iski ijazat dete hain is liye zarurat mahsus hui ke unki rai is mamle me logon tak pahunchai jaye.
TAAZIYADARI:
*Hazrat Shah Abdul Aziz Muhadith Dehalwi Alaihe Rahma farmate hain ke"Yani Ashra Muharram me jo taaziyadari hoti hai gunbad numa taaziya aur tasweeren banai jati hain ye NaJayaz hai.
(Fatawa Azizya Vol 2 Page 75)
*Ala Hazrat Fazil Brelwi Alaihe Rahma farmate hain"Taaziyadari Qata'an Biddat,Najayaz wa Haram hai"
(Fatawa Rizwiya vol 24 P 513)
Ala Hazrat ne apni kitabon me darzano maqamat par iski mazammat ki hai aur is mauzu pe ek kitab bhi likhi hai"Alilifdah fi taaziyatil hind wa bayane shohda"
*Muftiye Azam Hind Mustafa Raza khan R.A farmate hain ke"Taaziyadari Shara'an najayaz hai"
(Fatawa Mustafwiya p 534)
*Maulana Hashmat Ali Khan Brelwi farmate hain"Taziya banana,inhe dhum dham se uthana,unki ziyarat karna,unka adab wa taazeem karna,unhe chumna,unke age jhukna,ankhon se lagana,bachon ko hare kapde pahnana ,ghar ghar bhik mangwana,karbala jana wagairah shara'an najayaz wa gunah hai"
(Shame Hidayat vol 3 p 30)
IMAMBARA:
Jahan taaziya ko rakhte hain us imarat ya maqam ko imambara kahte hain.Imambara banana aur inki taazeem karna ye sab raafzi aur shiya firqe ki den hai.
Iski Imarat ya zameen ko besahara,bewah,yateem ko de di jaye ya masjid ya madarse bana diye jayen is se imambare ke waris ko duniya wa akhirat me sawab e azeem milega.
Ala Hazrat Alaihe rahma farmate hain"Imambara waqt nahi ho sakta jisne ise banaya usi ki milkiyat hai aur jo chahe kare woh na raha to uske warison ki milk hai unhe ikhtiyar hai"
(Farawa Rizwiya vol 16 P 121)
FARZI(NAQLI)KARBALA:
Karbala Iraq me hai jahan Hussain ( رضئ الله عنه ) apne sathiyon k e sath shaheed kiye gaye.Ab jahan taaziya jama ya dafan kiya jata hai us jagah ko log karbala kahne lage.
Islam me In farzi karbalaon ki koi haisyat nahi aur inhe muqaddas maqam khayal karke inka ehtram karna sab raafziyat,shieeat aur jahalat ki paidawar hai.
Alah Hazrat Alaihe Rahma farmate hain"Alam,Taziye,Mehndi,Inki mannat,Gasht,Chadhawa,Dhol taashe,mujre,Marsiye,Matam,masnawi karbala jana ye sab baten Haram wa najayaz wa gunah hai"
(Fatawa Rizwiya Vol 24 P 496)
TAAZiYE Par MANNAT:
Ala Hazrat Alaihe Rahma farmate hain ke
"Kisi Ne Agar Taaziye Pr Mannat Maani To Ye Nazar Baatil O Najaiz Hai.
(Fatawa Rizwiya vol 24 p 501)
MATAM YA SOGG:
Ala Hazrat Alaihe Rahma farmate hain ke
"Muharram Me Siyah (Black) Kaprey Sogg Hen Aur Sogg Haraam Hai."
(Fatawa Rizwiya vol 23 p 756)
Pyare musalman bhaiyon,hosh me ao.Padha apne hamare ulema ka kitna sakht muwaqqaf hai in khurafaat k khilaf?
Hussain ( رضئ الله عنه ) se muhabbat dhol tasha bajakar kaise ho sakta hai?Unho ne gardan kata di par baatil yazeedi ke age na jhuke.Akhri waqt tak shariat ke paband rahe aur sajde me sar kataya.
Hum aj ahad karen ke sache hussaini banenge,Shariat par amal karenge aur aj ke yazeediyon se muqabla karenge Insha Allah.
Allah hum tamam musalmanon ko shariat ka paband banaye,Ahlul bait se muhabbat karne wala banaye aur sacha hussaini banaye-Ameen ya rabbal alameen
Comments
Post a Comment