Kiya Gair Allah Se Madad Mangna Shirk Hai?
Hamare bich aj ek aise naye biddati jamaat Wahabiya/Salafiya ne janam liya hai jo musalmanon ke jayaz amal ko Shirk o Biddat kahta hai.
Usi fatwa factory se ek fatwa ye hai ke Ghair Allah se madad mangna shirk hai.
Age badhne se pahle Inki jahalat ko ek lateefe ki shakal me samajhte hain.
Ek wahabi gutter me gir gaya aur madad ke liye chillane laga.Pas khade apne bete se kaha "Are Nalayaq,Andha aur Bahra ho gaya kiya?Dekhta nahi mai mar raha hun aur kab se madad mang raha hun?
Bete ne jawab diya:Na Abba,Sari zindagi ap tauheed parast rahe aur ye taleem di ke Ghir Allah se madad mangna Shirk hai,Ab jabki ap mar rahe hain to apki madad karke kaise apko Mushrik bana dun?
Aur woh wahabi apne maqam ko pahunch gaya.
Wahabiya/Salafiya ke liye soch ka maqam hai ke agar ghair Allah se madad mangna ya hajat leke jana shirk hai tab to koi musalman musalman na raha.Kiyonki koi doctor ke pas jata hai bimari me usse madad mangne,koi wakeel ke pas apni parishani ki hajat lekar koi kahin.
Ap kahoge,Shahid miyan hum doctor ya wakeel ke pas use Allah samajh ke thode na jate hain?
To mai kahunga ke hum bhi Anbiya ya Awliya ke dar par use Allah samajh kar nahi jate fir doctor ke pas jana jayaz aur wali Allah ke pas jana shirk kaise ho gaya?
Agar koi ye aqeedah rakhe ke Doctor bina Allah ki ata se kisi ko thik kar sakta hai to ye shirk,Usi tarah koi ye aqeedah rakhe ke Wali Allah bhi bina Allah ki marzi khud se kisi ki madad kar sakte hain to ye bhi shirk.
Lekin dono maqam pe aisa nahi hai.Musalmano ka Aqeedah bilkul wajah hai ke ye sab waseelah hain Hqeeqi ata karne wala Allah Subhanahu Tala hai.
Quran se subut:
"Beshak Allah unka madadgar hai aur jibraeel aur nek Iman wale aur iske bad farishte madad karte hain"(Tahreem ayat 4)
"Tumhare madadgar nahi magar Allah aur uska Rasool aur iman wale"(Maida ayat 55)
"Sabr Aur namaz se madad chaho"(Al-Baqrah 45)
Aur namaz kaise hamari madad karti hai uski ek misal khud Quran se
"Beshak Namaz Behayai Aur Buri Baton Se Rokti Hai" (Surah Al-Anqaboot 45)
Namaz behayai aur buri baton se rok kar hamari madad karraha hai.
Agar gairullah ki madad shirk hai to kiya Allah Quran me Shirk ki taleem de raha hai(Maaz Allah)
Yad rahe Haqeeqi madadgar sirf Allah hai baaki sab zarya aur waseela.
Ibn Umar ( رضئ الله عنه ) ke paon me sunn(numbness)pad gaya to kisi ne kaha ke use pukaro jise tum sabse ziyadah muhabbat karte ho to inho ne kaha "YA MUHAMMAD"
[Imam Bukhari, Kitab ul Adab ul Mufrad, Page No. 404, Hadith # 964]
Zara socho doston kiya Ibn Umar ( رضئ الله عنه ) ne shirk kiya?Maaz Allah.Hargiz nahi aur jo aisa guman bhi kare woh khud kaafir ho jayega.
To YA MUHAMMAD,YA RASOOL ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہٖ وسلم
pukarna Sahaba ki sunnat hai.
Aitrazat aur unka Jawab:
Kuch gumrah log musalmano ke khilaf ye ayaten pesh karte hain.
"Aur jinhe iske siwa pujte ho woh tumhari madad nahi kar sakte aur na khud apni madad kare"(Al-Araf 197)
Ye ayat mushrikeen ke bare me hai ke ye Allah ke sath dusron ko shareek karte hain unhe pujte hain.But to apni madad khud nahi kar sakte to dusron ki kiya krenge.
Iske alawah bhi kai ayaten jo but paraston aur kuffar wa Mushrikeen ke liye nazil hui.use musalmaon par thopte hain.Jaise 10:106-107,29:17,46:5,26:62 wagairah.
Ye tamam ayaten mushrikeen ke liye nazil hui na ki musalman ke liye?
Jo ayaten Mushrikeen aur but paraston ke liye nazil hui use musalmano par nahi thopa ja sakta.Aisa karne wale kharji aur badtareen log hain.
Imam Bukhari Abdullah Ibn Umar ( رضئ الله عنه ) se rawayat karte hain ke Ibn Umar ( رضئ الله عنه ) kharjiyon ko badtareen makhluk samajhte the ke inho ne un ayaton ko jo mushrikeen ke liye nazil hui,use musalmanon par thopa.
[Sahih Bukhari, Chapter of Killing the Khawarjites and Mulhideen, Volume No. 6, Page No. 2539]
-muslim:kitab zakat vol 2 page 750 hadees no 1067
-Abu daud vol 4 page 243 hadees 4765
-Nisai vol 7 page 119-120 hadees 4103
Aj bhi ye kharji Wahabiya/Salafiya ki shakal me hamare bich maujud hain jo in ayaton ko musalmanon par thopte hain aur inhe mushrik kahte hain.
Allah hum tamam tamam musalmanon ko Wahabi fitnah se bachaye-Ameen
Comments
Post a Comment