Khwaja Ka Hindustan
Sawal:Khwaja ka hindustan kehna kaisa hai?
JAWAB:Aqeedat mand jab Khawaja ka hindustan ka na'ara lagate hain ya aisa kahte hain to ispe kuch log aitraz karte hain ke aisa kehna galat hai Ke Hindustan ko khawaja se kiyu mansoob karte ho?
Kiya Hindustan khawaja ka hai?
Ji haan,Hindustan khawaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rahmatullah alaihe ka hai aur Khwaja ka hindustan kehna bilkul jayaz balki quran ke mawafiq hai.
Allah Ta'ala Quran me Irshad farmata hai
"Aur beshak hum ne Zaboor mein naseehat ke ba'ad likh diya ke is zameen ke waris mere nek bande honge"
(QURAN 21:106)
Is ayat ki tafseer mein Hazrat Ibn Abbas RadiAllaho anho irshad farmate hain ke "IS ZAMEEN"se murad is ayat mein kuffar ki wo zameen hai jise musalman fatah karenge.
SubhanAllah!!
Ye Kon nahi janta ke Khawaja Ajmeri Alaihe rahma jab Hindustan mein dakhil huye to yaha charon taraf kufr hi kufr tha.
Fir Khawaja Ajmeri Alaihe rahma ne Dawat wa Tableegh ke zariya yahan Islam ka parcham buland kiya aur pyar wa muhabbat se is zameen ko fatah kiya aur riwayaton ke mutabiq 90 lakh kafiron ne Apke Da'awah ki wajah se Islam qabool kiya.
Ab batao jab Allah Subhanahu Ta'ala khud unhe is zameen yani Hindustan Ka waris kah raha hai to hum musalman kiu na kahen?
Khwaja ka Hindustan-Zinda baad.
Khaksaar: Shahid Akhtar
Dua ki guzarish.

Comments
Post a Comment