Islam Aur Pani Ki Ahmiyat
Allah Subhanahu Ta'ala ne Insaan ko ashraful makhluqat banaya aur insaan ko hazaron ne'amaton se sarfaraz kiya.Jisme ek khas ne'amat paani(water) hai.Paani ke bina zindagi ka tasawwur na mumkin hai.
Allah Ta'ala Qura'an mein Irshad farmata hai ke
"Aur hum ne har zandar chiz paani se banai"
(Kanjul Iman 21:30)
Iske ilawah taqreeban 60 jaghon par Allah Ta'ala ne quran mein paani ka zikr kiya hai.Is se pata chalta hai ke paani hamare liye kitna ahem hai.Magar aj afsos ka maqam hai ke insan pani ki qadar nahi kar raha hai aur ise beja kharch karne me laga hua hai.
Puri duniya mein pani ki satah kamti ja rahi hai aur saaf pani ki kami hai.Saaf pani na milne ki wajah se hazaron log marrahe hain.Africa aur aise kai mamalik hain jahan pine ka saaf pani mayassar nahi.Logon ko saaf pani lane ke liye aj bhi ghanton paidal chalna padta hai tab jakar unhe pani mayassar hota hai.
Lekin jise pani mayassar hai woh ise beja kharch kar raha hai.
Ek ghareeb slum me rahne wala family pure din mein jitna pani istemal karta hai usse ziyadah ek American 5 mins ke shower mein pani zaya karta hai.
Iske alawah Ice Cube Challange aur is tarah ke dusre rasm o khel tamashe me bahot pani zaya kiya jata hai.
Islam mein kisi bhi chiz ke fuzul kharchi se mana kiya gaya hai.
Allah ne Qur'an mein fuzul kharch karne wale ko shaitan ka bhai qarar diya(Surah Israh:ayat 27)
Aisa dekha jata hai ke kai log ghusal karte waqt ya wazu banate waqt zarurat se kahin ziyadah pani kharch karte hain.Allah ke Nabi Sal Allaho Alaihe wasallam ne hamen aisa karne se mana farmaya hai.
Abdullah Bin Amar riwayat karte hain ke Sa'ad wazu karrahe the ke Nabi Sal Allaho Alaihe Wasallam ka wahan se guzar hua aur farmaya "Main dekh raha hun ke tum pani ziyadah kharch kar rahe ho"
Sa'ad ne kaha"Kiya hum wazu mein bhi iska khyal rakhen?"
Ap Sal Allaho Alaihe wasallam ne farmaya"Haan,yahan tak ke agar tum ek tez bahti hui dariya(river)ke kinare wazu karrahe ho tab bhi"
(Sunan Ibn Maja,Chapter 2,Baab Paani aur uski sunnat,Hadees no 425-Mafhoom)
Subhan Allah!Agar hum dariya ke kinare wazu karrahe hon tab bhi hamen wazu mein pani ko fuzul kharch karne se Aqa Sal Allaho Alaihe wasallam ne mana farmaya jahan par pani ki farawani hoti hai to bhala hum masjidon mein wazu karte waqt kaise beja paani kharch kar sakte hain?
Aiye aj hum aur ap yeh ahad karen ke khud bhi paani ko zaya nahi karenge aur dusron ko bhi paani ki fuzul kharchi se rokenge-Insha Allah Ta'ala
Khaksaar:Shahid Akhtar
Comments
Post a Comment