EK DILCHASP MUNAZRA....ZARUR PADHEN IMAN TAZA HO JAYEGA(Insha Allah)
Mayanwi me ek sunni sahiul aqeedah alim aur ek wahabi ke bich munazra hua jo kai din tak chalta raha. Ek din jab munazra ke liye dono alim stage par aye to sunni alim e deen khade huye aur kaha " Logo dekho,haar jeet na jane kis ke hisse me hai magar kismat to dekho ke mai din bhar munazra karta hun aur raat bhar kitabon ke warq(page) palatta hun aur talash karta hun ke kahi se mje koi hawala mil jaye ke mere Aqa SalAllaho Alaihe wasallam ko fala chiz ka bhi ilm tha,fala chiz ka bhi ikhtiar tha goya mai sarkar ke kamalat talash karta hun aur wo sab jis se mere sarkar ki azmat badhe unki shan badhe. AUR Mera mad muqabil alim jo ke wahabi hai wo bhi raat bhar nahi sota hoga aur meri tarah kitabon ki warq gardani karta hoga aur woh Allah ke pyare habeeb SalAllaho alaihe wasallam ki zaat mein aib talash karta hoga ke Nabi ko falan chiz ka ilm nahi tha falan ka ikhtiar nahi tha goya wo har mumkin koshish karta hoga jisse ye Aqa Kareem SalAllho alaihe wasallam ki azmat wa shan ...